Monday 14 November 2011

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon

Main apni duaaon ka asar dekh rahi hon
ghambheer andheron mein sahar dekh rahi hon
Dil ka sahar-o-shaam tardapna woh machalna
dekha nahi jaata hay magar dekh rahi hon
ALLAH karay soz-e-daron aur ziyada
kuch aur nayay zakhm-e-jigar dekh rahi hon
Ghabra kay palat jaaon meray bus mein nahi hay
go samnay anjam e safar dekh rahi hon
aankhon mein idhar ashk udhar aag hay dil mein
barsaat mein jalta hoa ghar dekh rahi hon
Afsurda si lagti hay mujhay bazm-e-sukhan bhi
aazurda mein tum ko jo “Adi” dekh rahi hon

No comments:

Post a Comment