Dil me chahat ka diya jalakar chhup gaya koi,
sawaal laakh kiya par jawab dene se inkaar kar gaya koi,
yeh dard kya hota hai maloom na tha kabhi hume,
khushi dene ka waham lekar, umr bhar ka gham de gaya koi
__________________
shaam hotay hi sab charagh bujha deta hoon mein
ik dil hi kafi hay teri yaad mein jalney ke lye
__________________
Kismat par aetabar kisko hai
Mil jaye khusi inkar kisko hai
Kuch majbooriya hain mere dost
Warna judai se pyar kisko hai
__________________
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahin karte
Jaam doosron se cheen kar hum piya nahin karte
Unki mohabbat hai to aakar izhaar karein
Peecha hum bhee kisi ka kiya nahin karte
__________________
Kitni jaldi ye mulaqaat guzer jati ha.
Peyaas bujhte nahi barsaat guzer jati ha.
Apni yaadoon say kaho youn na aaya karain.
Need aati nahi or raat guzer jati ha.
___________________
Zindagi ae zindagi humein Tum se koyi tamanna kab hai
Mein to iss aas per jee rahaHoon ke marna kab hai.
___________________
Ankho me Aakar Ruk Jate Hai Ansu,
Palko pe Aakar Ruk Jate Hai Ansu.
Dil to Karta Hai Bah Jane Du,
Magar Apko Hasta Dekh Sukh Jate Hai Ansu.
____________________
Dil dost ko do ge to dost banao ge
saathi ko do ge to saathi banao ge
gheron ko doge qadar karvao ge
or agar apno ko doge to pachtao ge
_____________________
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte
_____________________
Hasna muskuraana zindagi hai,
has kar gum boolana Zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana Zindagi hai.
_____________________
Jiski Talash hai Usko pata bhi nahi
Hamari Chahat ko Usne samja hi nahi
Hum puchhte rahe ki Kya Tumhe Humse Pyaar hai
Aur Woh kehte rahe ki Unhe pata hi nahi
____________________
khayal ko kisi aahat ki aas rehti hai
nigah ko kisi surat ki pyas rehti hai
tere bina kisi chez ki kami to nahi magar
tere bina zindagi udas rehti hai
________________
woh mil jaate hain kahani ban ker,
dil main bus jaate hain nishani ban ker.
jinhay hum rkhtay hain apni ankhon main
kyon nikal jaate hain woh pani ban ker.
_________________
PYAAR JO KISI SE KARO RUSWAI HI MILTI HAI,
WAFA JITNI BHI KARO BURAI HI MILTI HAI,
CHAHAY KISI KO KITNA BHI APNA BANA LO,
JAB BHI AANKH KHULTI HAI TANHAI HI MILTI HAI
_________________
Rishton Ki Baat Na Yuon Chali Hoti
Daman Mein Aag Na Yuon Lagai Hoti
Zindagi To Weyse Hi Pareshan Thi Apni
Aur Na Meri Pareshani Yuon Barhai Hoti
______________________
Na Karta Shikayat Zamane se Koi
Agar Maan Jata Manane Se Koi
Kisi Ko Kyon Yad Karta Koi
Agar Bhool Jata Bhulane Se Koi
_______________________
Na Chain Hai Na Sukoon Hai
Ye Kaisa Mera Haal Hai
Raatein Ho Gayi Hain Itni Lambi
Jo Kaate Nahin Katti
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai
Na Koyi Aas Hai Na Koyi Paas Hai
Bus Ek Tera Ehsas Hai
__________________
Jam pe jam pine se kya fayda,
Sham ko pi subah utar jayegi,
Arey do boond dosti ke pi le,
Zindagi saari nashe mein guzar jayegi
__________________________
Wakt ke dayare se hum nikal na jaye.Aap ke dil se hum kahi utar na jaye.Hum roz yaad dilayenge apni.Warna aap kahi hame bhul na jaye..
__________________________
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta! iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta! chahata hoon main tujhe aaj bhi par! teri soch main apna waqt bekar nahi karta! tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri! isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta! jo kuch mila hai usi mei khush hoon main! tere liye khuda se taqraar nahi karta! par kuch to baat hai teri fitrat mein zalim! warna Mein tujhe chahne ki khata bar bar nahi karta!
______________________________
Ye Kasa Moujza Mere Khuda Ne Ker Diya
Seenay Me Mere Noor Hi Noor Bhar Diya
Rooh Tarapti Ha Meri Jab Sochon Jahannum Ka
Hum Ko Nek Bana Ghaflat-E-Neend Se Tu Jaga
________________________________
___________________________________-
Yun Tark-e-Mohabbat Teri Dil Lagi Ho Shayad
Tere Seene Main Bhi Ye Aag Lagi Ho Shayad
Na Mujhe Azma Itna Ke Jan Se Guzar Jaon
Mere Wajood Main Teri Hai Jan Ho Shayad…!!
No comments:
Post a Comment